Sunday, 19 May 2013

naeempasha.webs.com

No comments:

Post a Comment

∗(1). Har Namaz Pichli Namaz Ke Baad Hone Wale Gunah Mita Deti Hain. – (Tanbihul Gafileen)
∗(2). Namaz Se Gunaah Dhulte Hain. – (Ibne Maja)
∗(3). Namazi Ke Liye Jannat Ke Darwaze Khol Diye Jate Hain. – (Tabrani)
∗(4). Namaz Imaan Ki Alamat Hain. – (Munyatul Musalli)
∗(5). Namaz Se Rozi Me Barkat Hoti Hain. – (Tanbihul Gafileen)
∗(6). Namaz Ki Toufiq Milna Allah Ta’ala Ka Aehsan Hain. – (Mukashftul Quloob)
∗(7). Namaz Padhkar Wahi Bethe Rahe To Firishte Dua-e-Magfirat Karte Hain. – (Abu Daud)
∗(8). Namaz Padhne Wale Par Nekiyo Ki Barish Hoti Rahti Hain. – (Ehyaul Uloom)
∗(9). Namaz Behtereen Ibadat Hain. – (Delmi)
∗(10). Har Hissa-E-Zamin Tamanna Karta Hai Ki Kaash! Mujh Par Koi Namaz Padhe. – (Tabrani)
∗(11). Namaz Buraiyo Aur Bimariyo Se Bachati Hain. – (Tazqiratul Wayezeen)
∗(12). Namaz Padhne Wale Ke Gunaah Muaf Ho Jate Hain. – (Mishkat Sharif)
∗(13). Ek Namaz Dusri Namaz Tak KeGunaaho Ka Kaffara Hain. – (Tanbihul Gafileen)
∗(14). Namazi Ke Gunaah Iss Tarah Jhadte Hain Jis Tarah Khiza Me Darkht Ke Patte. – (Mishkat)
∗(15). Namaz Se Farig Hote Hi Gunaah Muaf Ho Jate Hain. – (KanzulUmmal)
∗(16). Namaz Se Sagira Gunaah MuafHo Jate Hain. – (Muslim Sharif)
∗(17). Namazi Ke Sare Gunaah Jhad Jate Hain. – (Tanbihul Gafileen)
∗(18). Namazi Ko Pul-Sirat Par Sawariya Milengi. – (Nuzhatul Majalis)
∗(19). Namaz Padhne Se Darjaat Buland Hote Hain. – (Muslim Sharif)
∗(20). Namaz Jannat Ki Kunji Hain. – (Muslim Sharif)
∗(21). Namaz Yakinan Duniya Aur Usme Jo Kuch Hain Unn Sab Se Behtar Hain. – (Tazqiratul Wayezeen)
∗(22). Sajde Me Banda Allah Ta’ala Ke Karibtar Hota Hain. – (Muslim Sharif)
∗(23). Baccha 7 Baras Ka Ho JayeTo Use Namaz Ka Hukm Do. – (Muslim Sharif)
Ya Allah Apne Habib Ke Sadke Hum Musalman Ko Namaj Ki Daulat Nasib Ata Farma. Aameen
Ad pasha